NetsBar

Instagram Par Collaboration Kaise Kare: यहाँ जाने पूरी गाइड 

Instagram par paise kamane kai tareeke unhi me se ek brand collaboration jo achcha khaasa popular aur bhi hai, kai Instagram influencer is ka istemal kai laakho rupo tak kama rahe hai. Agar aap bhi ek influencer hai aur aapke pass reach achchi hai aur Followers ke numbers bhi achche khaase hai to aapko janna chahaiye ki Instagram Par Collaboration Kaise Kare kyonki, ye aapki lifetime kamai ka souce bhi ban sakta hai. 

Instagram par grow karna aur iske zariye se paise kamana mushkil task ho sakt hai, halanki, collaboration karke aap ise asaan bana sakte ho. Mene is article me btaaya hai ki kaise aap kisi bhi instagra user ke saath collab kar sakte hai, saath hi saat mne ye bhi btaya hai ki aakhir collaboration hota kya hai. Agar ap iske baare me janna chaate hai to article zaroor padhe, To chaliye shuru karte hai.

Collaboration क्या होता है 

Jab aap kisi brand ya instagram influncer ke saath milkar koi post karte hai to use hi collaboration bola jaata hai. Aap jab bhi kisi ke saath collab karte hai to to wo post dono account par dikhti hai. Instagram par ye option post ko upload karte hue dikaayi deta hai. 

इंस्टाग्राम पर Collaboration करने के फायदे

Agar Aap influencer ya creator hai, ya aise Instagram user, jo collab karna chahata hai to aapko pehle, iske faaide ke baare me pata hona chhaiye. Instagram collaboration ke faaide neche btaaye hue hai. 

  • अधिक लोगो तक आपकी Post पोहोचति है: Instagram par kisi ke saath bhi collab karke aap apni post zyada se zyada logo tak pohocha sakte hai. Kyonki, jiske saath aapne Collaboration kiya hai uske followers bhi aapke post ko dekh paate hai. 
  • Followers और Reach बढ़ना: collab karne se aapke followers aur reach badhne ke zyada chances hote hai kyonki, post adhik logo tak pohoti hai, jis user ko aapka content pansand ayega wo like bhi karega aur aapko follow bhi. 
  • पैसा कमाना: agar aapke pass adhik followers hai to kai bade brand aapke saath Collaboration karna chaahenge aur iske liye aap unse apni fees bhi chracge kar sakte hai.

Instagram Par Collaboration Kaise Kare: स्टेप to स्टेप जानेंगे!

Aap ek influencer hai ya ek normal instagram user, aap jab bhi kisi bhi instagram user ke sath collab karna chaahe aap aisa asaani se kar sakte hai. Halanki, dhyaan rakhe ki is waqt agar aapka instagram account private hai to public zaroor kare. Collaboration karne ke liye aap neeche diye gye steps ko follow kare. 

Step 1.  Aap sabse pehle Instagram par apni ID log-in kare, profile par click kare uske baad neeche diye gye + icon par click kare.

Step 2. Iske baad aapko jo bhi post karna hai usko select kare aur Next par click kar de.

Step 3. Yahan par aap Filter apply kar de, aur next par click kar de.

Step 4. Tag people par click karne ke baad aapko collab karne ka option dikhega us par click kar de. 

Step 5. Jis user ke saath bhi aap collab karna chahate hai, use search karke us user par tick kar de.

Step 6. Iske baad aapko Share ka option milega us par click karke apni video ko upload kar de.

Step 7. Aapne jis user ya brand ke saath collaboration kiya hai, collaboration accept karne notification uske account par pohoch jaaye jaisi wo click karega aapki upload ki gyi uske account par dikhne lagegi. 

Conclusion: Instagram Par Collaboration Kaise Kare

Agar aap ke pass Follower zyada hai to aap brand ke saath collab karke bhi kai saare paise kama sakte hai, kai instagram influencers iske zariye laakho rupe kama rahe hai. Ab aap bhi aisa kar sake hai aisa nhi hai ki apka influencer hona zaroori hai ek normal instagram user bhi aisa kar sakta hai upar diye gye steps ko follow karke Collaboration kare. 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Shopping Cart